Thursday, December 21, 2023

Itna ilm seekhein

"Kam az kam itna ilm seekhein jo aapko achhay aur burey ke pehchaan karva sake. Khudaara deen ka ilm seekhein. Kam az kam itna seekhein ke aap roz marra ki zindagi ke mamlay mein achhay aur burey ko pehchan sakein, yeh Musalmano ka sab se ahem farz hai. Bunyadi ibadat o aqaid, paaki ke masail, talaq aur nikah ke masail, aur akhlaqiat ke masail seekhein. Ek group mein dekha, ek aurat ko call par teen talaqien hui aur woh ulama se poochhne ki bajaye, aise posts karke beth gayi ke ab rujoo kaise karun aur sone pe suhaaga, khawateen apne khandaani deen ka jo khud banaya hua hota hai, patari khol kar beth gayi. Koi keh raha hai ab halala karna parega, kisi aur mard se shadi karke, talaq lekar phir dobara apne sabiq shohar se shadi karein. Astaghfirullah. Koi kehta hai talaq call par nahi hoti. Koi kehta hai aise nahi hoti, koi gawah nahi hai. Kisi ne kaha teen mahine tak rujoo karne ka waqt hai. Koi us mard ko kosne mein lagi ke aise aadmi se kyun rujoo karo jo talaq de. Mujhe toh yeh soch kar pareshani hui ke in khawateen ko deen ka koi ilm nahi, aur yeh kaise itne drusth se doosri ko ilm sikharahe hain.
Ab yeh andaza laga lein ke hamare gharo mein kitne log aise hain jo shadi shuda ho kar bhi talaq ke masail nahi jaante. Kya pata kabhi ghuse mein de dein aur baad mein dono kehte hain ke nahi hui koi gawah thori hai.
Kuch arse pehle ek parlour mein dekha, ek aurat makeup karwa rahi thi aur beautician se fatwa le rahi thi ke hont chidwana galat toh nahi hai na? Allahu Akbar! Musalman auratein ko kya ho gaya hai?
Khuda ke liye deen ka ilm seekhein aur agar kisi mamle mein ilm nahi toh ulama aur alimat se rabita karein. Deen Islam ka tamasha na banayen."

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home